Fikra
Aane wala pal jaane kitne naye lamhe laayega
par purana waqt kabhi na laut ke aayega..
Kuch din jab beetenge yun hi,
tumharana muskurana yaad aayega.
Puraane hi din nahin bhul paate hm toh,
phir kal subah aj ka zamaana yaad ayega..
Thandi bheeni subah ki chehakti subah me tumse baat hui h,
raat ki khamoshi aate aate yeh meetha waqt guzar jaayega..
aur phir tumhara paas aana yaad aayega,
Phir agali subah hum dhundenge tumhe.
din toh khair samjhate hue khud ko nikal jaayega,
per sham hote hi muskurahat me ek khaalipan bhar jaayega,
vo aus ki bundon me aansuon ka mil jaana,
aur phir tumhara jhat se bidak jaana yaad aayega.
Itna karta hai man abhi se hi tumhe dekhne ko,
jaane waqt parson kya manzar dikhayega,
jab mera tumse ladna bhi mujhe yaad aayega.
Kaise guzrenge vo pal jab tumhara mujhe sataana ,
parso raat ke hote hi phir se sataayega..
No comments:
Post a Comment